Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chah ki tum se iltija ki hai

Mansha ur Rahman Khan Mansha

chah ki tum se iltija ki hai

Mansha ur Rahman Khan Mansha

MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha

    chaah tum se iltijā hai

    ham ne kitnī hasīñ ḳhatā hai

    zulm jin dostoñ ne Dhaa.e haiñ

    dil ne un ke liye duā hai

    zulf-e-hastī sañvārne ke liye

    ham ne koshish to bārhā hai

    Dūbte haiñ safīne sāhil par

    sab ināyat ye nā-ḳhudā hai

    is pe bandoñ hākimī kaisī

    jab ye saarī zamīñ ḳhudā hai

    jaan par apnī khel kar 'manshā'

    karne vāloñ ne yaañ vafā hai

    chah ki tum se iltija ki hai

    hum ne kitni hasin KHata ki hai

    zulm jin doston ne Dhae hain

    dil ne un ke liye dua ki hai

    zulf-e-hasti sanwarne ke liye

    hum ne koshish to barha ki hai

    Dubte hain safine sahil par

    sab inayat ye na-KHuda ki hai

    is pe bandon ki hakimi kaisi

    jab ye sari zamin KHuda ki hai

    jaan par apni khel kar 'mansha'

    karne walon ne yan wafa ki hai

    Source:

    Nawa-e-Dil (Pg. 76)

    • Author: Mansha ur Rahman Khan Mansha
      • Edition: 1963
      • Publisher: Baitul Ishat, Nagpur
      • Year of Publication: 1963
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now