Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaha jinko bhi zindagi ki tarah

Balbir Rathi

chaha jinko bhi zindagi ki tarah

Balbir Rathi

MORE BYBalbir Rathi

    chāhā jin ko bhī zindagī tarah

    vo mile mujh ko ajnabī tarah

    mujh ko ilhām ho gayā shāyad

    baat kartā huuñ ik nabī tarah

    jaane kitne savāl ubhre haiñ

    jab bhī sochā hai falsafī tarah

    saarā manzar nikhartā jaatā hai

    kaun hañstā hai aap tarah

    ḳhuub charchā hai go saveroñ

    raat phir bhī hai raat tarah

    vaqt baat hai ki ab tum bhī

    ham se milte ho ajnabī tarah

    ye darindoñ shahr hai is meñ

    kaun miltā hai aadmī tarah

    chaha jin ko bhi zindagi ki tarah

    wo mile mujh ko ajnabi ki tarah

    mujh ko ilham ho gaya shayad

    baat karta hun ek nabi ki tarah

    jaane kitne sawal ubhre hain

    jab bhi socha hai falsafi ki tarah

    sara manzar nikharta jata hai

    kaun hansta hai aap hi ki tarah

    KHub charcha hai go saweron ka

    raat phir bhi hai raat hi ki tarah

    waqt ki baat hai ki ab tum bhi

    hum se milte ho ajnabi ki tarah

    ye darindon ka shahr hai is mein

    kaun milta hai aadmi ki tarah

    Source:

    Lahar Lahar (Pg. 54)

    • Author: Balbir Rathee
      • Edition: 1993
      • Publisher: Kadambari Prakashan, Delhi
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now