Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chahat meri miTTi mein ajab chhoD gaya hai

Idris Azad

chahat meri miTTi mein ajab chhoD gaya hai

Idris Azad

MORE BYIdris Azad

    chāhat mirī miTTī meñ ajab chhoḌ gayā hai

    dil jal ke bhī ḳhāshāk-talab chhoḌ gayā hai

    jab chhoḌ gayā thā to kahāñ chhoḌ gayā thā

    lauTā hai to lagtā hai ki ab chhoḌ gayā hai

    maiñ terā pujārī thā magar ai mire ḳhurshīd

    Dhal ke mire shahr meñ shab chhoḌ gayā hai

    pahuñchā hai masīhā.ī ko is rah se guzar kar

    is rah ko magar jān-ba-lab chhoḌ gayā hai

    ham lazzat-e-āshob ke rasiyā tire ġham-dār

    siine meñ jiine sabab chhoḌ gayā hai

    ġham us judā.ī tujhe maar na Daale

    ab bhī use chhoḌ vo jab chhoḌ gayā hai

    dānista yahīñ chhoḌ gayā hai vo mirā dil

    jo us thā asbāb vo sab chhoḌ gayā hai

    kuchh din se mire dil meñ ibādat talab hai

    kuchh din se mujhe lagtā hai rab chhoḌ gayā hai

    ik phal ke ravādār na the ḳhuld-e-barīñ meñ

    dil terī bahishtoñ talab chhoḌ gayā hai

    chahat meri miTTi mein ajab chhoD gaya hai

    dil jal ke bhi KHashak-talab chhoD gaya hai

    jab chhoD gaya tha to kahan chhoD gaya tha

    lauTa hai to lagta hai ki ab chhoD gaya hai

    main tera pujari tha magar ai mere KHurshid

    tu Dhal ke mere shahr mein shab chhoD gaya hai

    pahuncha hai masihai ko is rah se guzar kar

    is rah ko magar jaan-ba-lab chhoD gaya hai

    hum lazzat-e-ashob ke rasiya tere gham-dar

    tu sine mein jine ka sabab chhoD gaya hai

    gham us ki judai ka tujhe mar na Dale

    ab tu bhi use chhoD wo jab chhoD gaya hai

    danista yahin chhoD gaya hai wo mera dil

    jo us ka tha asbab wo sab chhoD gaya hai

    kuchh din se mere dil mein ibaadat ki talab hai

    kuchh din se mujhe lagta hai rab chhoD gaya hai

    ek phal ke rawadar na the KHuld-e-barin mein

    dil teri bahishton ki talab chhoD gaya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now