aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chahaten mausami parinde hain rut badalte hi lauT jate hain

Nida Fazli

chahaten mausami parinde hain rut badalte hi lauT jate hain

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    chāhateñ mausamī parinde haiñ rut badalte lauT jaate haiñ

    ghoñsle ban ke TuuT jaate haiñ daaġh shāḳhoñ pe chahchahāte haiñ

    aane vaale bayāz meñ apnī jaane vāloñ ke naam likhte haiñ

    sab auroñ ke ḳhālī kamroñ ko apnī apnī tarah sajāte haiñ

    maut ik vāhima hai nazroñ saath chhuTtā kahāñ hai apnoñ

    jo zamīñ par nazar nahīñ aate chāñd tāroñ meñ jagmagāte haiñ

    ye musavvir ajiib hote haiñ aap apne habīb hote haiñ

    dūsroñ shabāhateñ le kar apnī tasvīr banāte haiñ

    yuuñ chaltā hai kārobār-e-jahāñ hai zarūrī har ek chiiz yahāñ

    jin daraḳhtoñ meñ phal nahīñ aate vo jalāne ke kaam aate haiñ

    chahaten mausami parinde hain rut badalte hi lauT jate hain

    ghonsle ban ke TuT jate hain dagh shaKHon pe chahchahate hain

    aane wale bayaz mein apni jaane walon ke nam likhte hain

    sab hi auron ke KHali kamron ko apni apni tarah sajate hain

    maut ek wahima hai nazron ka sath chhuTta kahan hai apnon ka

    jo zamin par nazar nahin aate chand taron mein jagmagate hain

    ye musawwir ajib hote hain aap apne habib hote hain

    dusron ki shabahaten le kar apni taswir hi banate hain

    yun hi chalta hai karobar-e-jahan hai zaruri har ek chiz yahan

    jin daraKHton mein phal nahin aate wo jalane ke kaam aate hain

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    chahaten mausami parinde hain rut badalte hi lauT jate hain Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now