Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chahaton ka samar mil gaya

Munir Anwar

chahaton ka samar mil gaya

Munir Anwar

MORE BYMunir Anwar

    chāhatoñ samar mil gayā

    tujh ahl-e-nazar mil gayā

    mujhe raah meñ kyā milā

    ik javāz-e-safar mil gayā

    ik shu.ūr-e-mohabbat hameñ

    tere zer-e-asar mil gayā

    tere me.aar to nahīñ

    haañ magar chārāgar mil gayā

    merī takmīl hone lagī

    vo sarāpā hunar mil gayā

    tum sambhālo ye dīvār-e-zar

    ādamiyat dar mil gayā

    dil meñ jaagī thī us lagan

    tā-ba hadd-e-nazar mil gayā

    milā to thakan jaag uThī

    yuuñ lagā jaise ghar mil gayā

    chahaton ka samar mil gaya

    tujh sa ahl-e-nazar mil gaya

    tu mujhe rah mein kya mila

    ek jawaz-e-safar mil gaya

    ek shuur-e-mohabbat hamein

    tere zer-e-asar mil gaya

    tere mear ka to nahin

    han magar chaaragar mil gaya

    meri takmil hone lagi

    wo sarapa hunar mil gaya

    tum sambhaalo ye diwar-e-zar

    aadamiyat ka dar mil gaya

    dil mein jagi thi us ki lagan

    ta-ba hadd-e-nazar mil gaya

    tu mila to thakan jag uThi

    yun laga jaise ghar mil gaya

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now