Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chahe bhale hon chahe bure hon har surat taDpate hain

Razi Abidi

chahe bhale hon chahe bure hon har surat taDpate hain

Razi Abidi

MORE BYRazi Abidi

    chāhe bhale hoñ chāhe bure hoñ har sūrat taḌpāte haiñ

    mehr-o-vafā baat nahīñ hai dost bahut yaad aate haiñ

    duniyā dhokā maayā khoTī log yahāñ sab jhūTe haiñ

    kaisī kaisī bāteñ kar ke ham dil ko bahlāte haiñ

    dil apnā bas meñ nahīñ hai dil apnā dushman hai

    auroñ par ilzām nahīñ vo to apne ban jaate haiñ

    kaisā hañsnā kaisā ronā ek tamāsha duniyā

    ārā.ish qumquma jaise jalte haiñ bujh jaate haiñ

    terā naam bhī lab par laate ab is vāste Darte haiñ

    log bahut haiñ aur logoñ meñ afsāne ho jaate haiñ

    jaisī ham par guzrī sab par aisī kuchh guzartī hai

    jhūTe sachche qissoñ se ham kaun baat banāte haiñ

    yuuñ to shāyad koī milā ho lekin bichhḌe kitne dost

    jis ko kho dete haiñ goyā sirf usī ko paate haiñ

    chahe bhale hon chahe bure hon har surat taDpate hain

    mehr-o-wafa ki baat nahin hai dost bahut yaad aate hain

    duniya dhoka maya khoTi log yahan sab jhuTe hain

    kaisi kaisi baaten kar ke hum dil ko bahlate hain

    dil hi apna bas mein nahin hai dil hi apna dushman hai

    auron par ilzam nahin wo to apne ban jate hain

    kaisa hansna kaisa rona ek tamasha duniya ka

    aaraish ka qumquma jaise jalte hain bujh jate hain

    tera nam bhi lab par late ab is waste Darte hain

    log bahut hain aur logon mein afsane ho jate hain

    jaisi hum par guzri sab par aisi kuchh hi guzarti hai

    jhuTe sachche qisson se hum kaun si baat banate hain

    yun to shayad koi mila ho lekin bichhDe kitne dost

    jis ko kho dete hain goya sirf usi ko pate hain

    Source:

    Kuch Ghazlen Kuch Nazmen (Pg. 31)

    • Author: Razi Abidi
      • Publisher: Fiction House, Lahore
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now