Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chahne par bhi na chaha hum ko

Shareef Munawwar

chahne par bhi na chaha hum ko

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    Interesting Fact

    1970

    chāhne par bhī na chāhā ham ko

    us ne ham se bhī chhupāyā ham ko

    jis ne mazmūn likhe the ham par

    us ne phir ḳhat bhī na likkhā ham ko

    jo masarrat milī taqsīm huī

    aur milā dard so tanhā ham ko

    hādsoñ ne chaḌhāyā parvān

    ġham mile hausla-afzā ham ko

    ham ki duniyā ke liye ro.e haiñ

    dekhnā ro.egī duniyā ham ko

    chahne par bhi na chaha hum ko

    us ne hum se bhi chhupaya hum ko

    jis ne mazmun likhe the hum par

    us ne phir KHat bhi na likkha hum ko

    jo masarrat mili taqsim hui

    aur mila dard so tanha hum ko

    hadson hi ne chaDhaya parwan

    gham mile hausla-afza hum ko

    hum ki duniya ke liye roe hain

    dekhna roegi duniya hum ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now