chahne walon se danista chhupai kya hai
chāhne vāloñ se dānista chhupā.ī kyā hai
baat jo hoñToñ pe aanī thī na aa.ī kyā hai
hai safar farz to har haal meñ chalnā hogā
tishnagī dhuup thakan ābla-pā.ī kyā hai
vaqt be-vaqt ḳhayāloñ meñ chale aate ho
itnī fursat hai to milne meñ burā.ī kyā hai
kabhī tā'rīf bhī kar dījiye ham jaisoñ kī
ye har ik baat pe angusht-numā.ī kyā hai
ek to karte ho uljhī huī bāteñ ham se
us pe phir itnī vazāhat ye safā.ī kyā hai
kal to kahte the ki hamrāh chaleñge lekin
aaj inkār meñ gardan jo hilā.ī kyā hai
jānte ho nahīñ ā.eñge vo 'maz.har' lekin
phir bhī tum ne jo 'abas aas lagā.ī kyā hai
chahne walon se danista chhupai kya hai
baat jo honTon pe aani thi na aai kya hai
hai safar farz to har haal mein chalna hoga
tishnagi dhup thakan aabla-pai kya hai
waqt be-waqt KHayalon mein chale aate ho
itni fursat hai to milne mein burai kya hai
kabhi ta'rif bhi kar dijiye hum jaison ki
ye har ek baat pe angusht-numai kya hai
ek to karte ho uljhi hui baaten hum se
us pe phir itni wazahat ye safai kya hai
kal to kahte the ki hamrah chalenge lekin
aaj inkar mein gardan jo hilai kya hai
jaante ho nahin aaenge wo 'mazhar' lekin
phir bhi tum ne jo 'abas aas lagai kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.