Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chahta hun tujhe nabi ki qasam

Insha Allah Khan Insha

chahta hun tujhe nabi ki qasam

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    chāhtā huuñ tujhe nabī qasam

    hazrat-e-murtazā-alī qasam

    mujhe ġhamgīñ na chhoḌ rotā aaj

    tujhe apnī hañsī-ḳhushī qasam

    saaf kah baiThiye na meñ jo ho

    aap ko apnī sādgī qasam

    maiñ dilā.ī qasam to kahne lage

    ham nahīñ mānte kisī qasam

    sadqa hotā huuñ jis ghaḌī mujh ko

    yaad aatī hai us parī qasam

    haa.e kahnā vo us chupke se

    tujhe 'inshā' hamārī qasam

    chahta hun tujhe nabi ki qasam

    hazrat-e-murtaza-ali ki qasam

    mujhe ghamgin na chhoD rota aaj

    tujhe apni hansi-KHushi ki qasam

    saf kah baiThiye na ji mein jo ho

    aap ko apni sadgi ki qasam

    main dilai qasam to kahne lage

    hum nahin mante kisi ki qasam

    sadqa hota hun jis ghaDi mujh ko

    yaad aati hai us pari ki qasam

    hae kahna wo us ka chupke se

    tujhe 'insha' hamari ji ki qasam

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 85)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now