aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chahta ye hun ki benam-o-nishan ho jaun

Azm Shakri

chahta ye hun ki benam-o-nishan ho jaun

Azm Shakri

MORE BYAzm Shakri

    chāhtā ye huuñ ki benām-o-nishāñ ho jā.ūñ

    sham.a tarah jalūñ aur dhuāñ ho jā.ūñ

    pahle dahlīz pe raushan karūñ āñkhoñ ke charāġh

    aur phir ḳhud kisī parde meñ nihāñ ho jā.ūñ

    toḌ kar pheñk duuñ ye firqa-parastī ke mahal

    aur peshānī pe sajde nishāñ ho jā.ūñ

    dil se phir dard mahakne sadā.eñ uTTheñ

    kaash aisā ho maiñ terī rag-e-jāñ ho jā.ūñ

    bas tire zikr meñ kaT jaa.eñ mire roz-o-shab

    nuur shāḳh pe chiḌiyoñ zabāñ ho jā.ūñ

    ḳhaak jis kūche malte haiñ farishte aa kar

    maiñ usī ḳhaak ke zarroñ meñ nihāñ ho jā.ūñ

    merī āvāra-mizājī ko sukūñ mil jaa.e

    dard ban kar tire siine meñ ravāñ ho jā.ūñ

    chahta ye hun ki benam-o-nishan ho jaun

    shama ki tarah jalun aur dhuan ho jaun

    pahle dahliz pe raushan karun aankhon ke charagh

    aur phir KHud kisi parde mein nihan ho jaun

    toD kar phenk dun ye firqa-parasti ke mahal

    aur peshani pe sajde ka nishan ho jaun

    dil se phir dard mahakne ki sadaen uTThen

    kash aisa ho main teri rag-e-jaan ho jaun

    bas tere zikr mein kaT jaen mere roz-o-shab

    nur ki shaKH pe chiDiyon ki zaban ho jaun

    KHak jis kuche ki malte hain farishte aa kar

    main usi KHak ke zarron mein nihan ho jaun

    meri aawara-mizaji ko sukun mil jae

    dard ban kar tere sine mein rawan ho jaun

    Source:

    Surkhab (Pg. 43)

    • Author: Azm Shakri
      • Edition: 2008
      • Publisher: Aiwan-e-adab Publishers
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now