Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chahte ho agar samar achchha

Malik Tase

chahte ho agar samar achchha

Malik Tase

MORE BYMalik Tase

    chāhte ho agar samar achchhā

    siikh lo phir koī hunar achchhā

    gar mudāvā-e-jabr kar na sako

    DhūñD lo ek nauhagar achchhā

    ḳhushnumā musta.ār mahloñ se

    apnā bosīda ghar achchhā

    sau fareb ik kulāh-e-shāhī meñ

    is se ai dil barahna-sar achchhā

    rāheñ kaTtī haiñ kitnī sur.at se

    saath ho ham-safar agar achchhā

    zulm dekhā kiye rahe ḳhāmosh

    aañkh vāloñ se be-basar achchhā

    vajh-e-tashvīsh āgahī ho agar

    bā-ḳhabar se hai be-ḳhabar achchhā

    chahte ho agar samar achchha

    sikh lo phir koi hunar achchha

    gar mudawa-e-jabr kar na sako

    DhunD lo ek nauhagar achchha

    KHushnuma mustaar mahlon se

    apna bosida sa hi ghar achchha

    sau fareb ek kulah-e-shahi mein

    is se ai dil barahna-sar achchha

    rahen kaTti hain kitni surat se

    sath ho ham-safar agar achchha

    zulm dekha kiye rahe KHamosh

    aankh walon se be-basar achchha

    wajh-e-tashwish aagahi ho agar

    ba-KHabar se hai be-KHabar achchha

    Source:

    Nuqoosh-e-Asar (Pg. 131)

    • Author: Malik Tase
      • Publisher: Prabhat Printing Press, Pune
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now