Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaak ki KHwahish agar wahshat ba-uryani kare

Mirza Ghalib

chaak ki KHwahish agar wahshat ba-uryani kare

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    chaak ḳhvāhish agar vahshat ba-uryānī kare

    sub.h ke mānind zaḳhm-e-dil garebānī kare

    jalve tere vo aalam hai ki gar kiije ḳhayāl

    dīda-e-dil ko ziyārat-gāh-e-hairānī kare

    hai shikastan se bhī dil naumīd rab kab talak

    ābgīna koh par arz-e-girāñ-jānī kare

    mai-kada gar chashm-e-mast-e-nāz se paave shikast

    mū-e-shīsha dīda-e-sāġhar mizhgānī kare

    ḳhatt-e-āriz se likhā hai zulf ko ulfat ne ahd

    yak-qalam manzūr hai jo kuchh pareshānī kare

    chaak ki KHwahish agar wahshat ba-uryani kare

    subh ke manind zaKHm-e-dil garebani kare

    jalwe ka tere wo aalam hai ki gar kije KHayal

    dida-e-dil ko ziyarat-gah-e-hairani kare

    hai shikastan se bhi dil naumid ya rab kab talak

    aabgina koh par arz-e-giran-jaani kare

    mai-kada gar chashm-e-mast-e-naz se pawe shikast

    mu-e-shisha dida-e-saghar ki mizhgani kare

    KHatt-e-ariz se likha hai zulf ko ulfat ne ahd

    yak-qalam manzur hai jo kuchh pareshani kare

    Source:

    Deewan-e-Ghalib Jadeed (Pg. 329)

    • Author: Mirza Ghalib
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now