chand aafaq shajar dekhne wale ke liye
chāñd āfāq shajar dekhne vaale ke liye
sabhī chīzeñ haiñ magar dekhne vaale ke liye
ek dīvār hai tā-hadd-e-nazar phailī huī
aur dīvār meñ dar dekhne vaale ke liye
kisī khoī huī jannat kā nishāñ ho jaise
ek tā.ūs kā par dekhne vaale ke liye
vo mire jism kī miTTī meñ nihāñ hai 'sarvat'
biij meñ jaise shajar dekhne vaale ke liye
chand aafaq shajar dekhne wale ke liye
sabhi chizen hain magar dekhne wale ke liye
ek diwar hai ta-hadd-e-nazar phaili hui
aur diwar mein dar dekhne wale ke liye
kisi khoi hui jannat ka nishan ho jaise
ek taus ka par dekhne wale ke liye
wo mere jism ki miTTi mein nihan hai 'sarwat'
bij mein jaise shajar dekhne wale ke liye
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 85)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.