Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand bhi khoya khoya sa hai tare bhi KHwabida hain

Irfan Sattar

chand bhi khoya khoya sa hai tare bhi KHwabida hain

Irfan Sattar

MORE BYIrfan Sattar

    chāñd bhī khoyā khoyā hai taare bhī ḳhvābīda haiñ

    aaj fazā ke bojhal-pan se lahje bhī sanjīda haiñ

    jaane kin kin logoñ se is dard ke kyā kyā rishte the

    hijr is ābād sarā meñ sab chehre nādīda haiñ

    itne barsoñ ba.ad bhī donoñ kaise TuuT ke milte haiñ

    hai kitnā sāda-dil aur ham kitne pechīda haiñ

    sun jānāñ ham tark-e-ta.alluq aur kisī din kar leñge

    aaj tujhe bhī ujlat hai ham bhī kuchh ranjīda haiñ

    kānoñ meñ ik sargoshī hai be-ma.anī sargoshī

    āñkhoñ meñ kuchh ḳhvāb saje haiñ ḳhvāb bhī umr-rasīda haiñ

    ghar vo maḳhdūsh imārat gir ke phir ta.amīr huī

    ab āñgan meñ peḌ haiñ jitne saare shāḳh burīda haiñ

    is bastī meñ ek saḌak hai jis se ham ko nafrat hai

    us ke nīche pagDanDī hai jis ke ham girvīda haiñ

    chand bhi khoya khoya sa hai tare bhi KHwabida hain

    aaj faza ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain

    jaane kin kin logon se is dard ke kya kya rishte the

    hijr ki is aabaad sara mein sab chehre nadida hain

    itne barson baad bhi donon kaise TuT ke milte hain

    tu hai kitna sada-dil aur hum kitne pechida hain

    sun jaanan hum tark-e-talluq aur kisi din kar lenge

    aaj tujhe bhi ujlat si hai hum bhi kuchh ranjida hain

    kanon mein ek sargoshi hai be-mani si sargoshi

    aankhon mein kuchh KHwab saje hain KHwab bhi umr-rasida hain

    ghar ki wo maKHdush imarat gir ke phir tamir hui

    ab aangan mein peD hain jitne sare shaKH burida hain

    is basti mein ek saDak hai jis se hum ko nafrat hai

    us ke niche pagDanDi hai jis ke hum girwida hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now