chand kal aisa laga taron ke bich
chāñd kal aisā lagā tāroñ ke biich
koī 'āshiq jaise ġham-ḳhvāroñ ke biich
sab se tanhā log sahrā meñ nahīñ
ghūmte phirte haiñ bāzāroñ ke biich
ek saaya aur bhī āñgan meñ thā
dhuup meñ baiThe hue yāroñ ke biich
maut jis ke naam se tum Dar ga.e
roz kā qissa hai bīmāroñ ke biich
kaun se dil se ise ham ghar kaheñ
ek chhat hai chaar dīvāroñ ke biich
kaisī khul kar saañs aatī thī mujhe
ho gayā bīmār bīmāroñ ke biich
chand kal aisa laga taron ke bich
koi 'ashiq jaise gham-KHwaron ke bich
sab se tanha log sahra mein nahin
ghumte phirte hain bazaron ke bich
ek saya aur bhi aangan mein tha
dhup mein baiThe hue yaron ke bich
maut jis ke nam se tum Dar gae
roz ka qissa hai bimaron ke bich
kaun se dil se ise hum ghar kahen
ek chhat hai chaar diwaron ke bich
kaisi khul kar sans aati thi mujhe
ho gaya bimar bimaron ke bich
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 66)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.