Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand ki kirnon ki chadar ne sab ke rup chhupae hain

Majid-ul-Baqri

chand ki kirnon ki chadar ne sab ke rup chhupae hain

Majid-ul-Baqri

MORE BYMajid-ul-Baqri

    chāñd kirnoñ chādar ne sab ke ruup chhupā.e haiñ

    āñkhoñ vaale sab kar nagrī se lauT aa.e haiñ

    tārīkī naam ho raushan aage pīchhe ek diyā

    raushniyoñ ke vīrāne meñ aage pīchhe saa.e haiñ

    kirnoñ ke dhāgoñ ko sameTe uun golā Duub gayā

    nañgī dhartī lambī rāteñ dekh ke ham tharrā.e haiñ

    jhāḌī jhāḌī sūñgh rahā huuñ koī bhī ḳhargosh nahīñ

    kuttoñ jaise pair kahāñ se har jhāḌī tak aa.e haiñ

    lohe aur patthar saarī tasvīreñ miT jā.eñgī

    kāġhaz ke parde par ham ne sab ke ruup jamā.e haiñ

    ghanTī āvāzeñ sach haiñ chīḳh pe koī kaan na do

    lohe ke tābūt meñ 'mājid' insānoñ ke saa.e haiñ

    chand ki kirnon ki chadar ne sab ke rup chhupae hain

    aankhon wale sab hi ja kar nagri se lauT aae hain

    tariki ka nam ho raushan aage pichhe ek diya

    raushniyon ke virane mein aage pichhe sae hain

    kirnon ke dhagon ko sameTe un ka gola Dub gaya

    nangi dharti lambi raaten dekh ke hum tharrae hain

    jhaDi jhaDi sungh raha hun koi bhi KHargosh nahin

    kutton jaise pair kahan se har jhaDi tak aae hain

    lohe aur patthar ki sari taswiren miT jaengi

    kaghaz ke parde par hum ne sab ke rup jamae hain

    ghanTi ki aawazen sach hain chiKH pe koi kan na do

    lohe ke tabut mein 'majid' insanon ke sae hain

    Source:

    sheerazah (Pg. 95)

    • Author: makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
      • Edition: 1973
      • Publisher: P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now