Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand ko le kar chali gai hai dur kahin baraat bahut

Kuldeep Salil

chand ko le kar chali gai hai dur kahin baraat bahut

Kuldeep Salil

MORE BYKuldeep Salil

    chāñd ko le kar chalī ga.ī hai duur kahīñ bārāt bahut

    ham bhī chalo ab so jaa.eñ ki biit ga.ī hai raat bahut

    sāvan meñ ġhazab sūkhā thā huī chait meñ hai barsāt bahut

    rishtoñ jagah un rishtoñ ab hone lagī hai baat bahut

    pahuñche log to manzil par maiñ ḳhush huuñ ab tak safar meñ huuñ

    ki mere liye ai jān-e-ġhazal hai haath meñ terā haath bahut

    kuchh log hamārī bastī meñ aa ga.e haiñ sakte meñ sun kar

    ki vo jo kal tak gūñge the ab karne lage haiñ baat bahut

    soch-samajh kar baat kiyā kar ai sultān faqīroñ se

    ho saktā hai kisī faqīr nikal aa.e auqāt bahut

    daulat vāloñ hai shohrat shohrat vāloñ daulat

    izzat se haiñ ham bastī meñ ye baḌī hai baat bahut

    do roz judā.ī ke tujh se itnī to baḌī koī baat nahīñ

    barsoñ se bhī lambe dekhe haiñ ham ne to 'salīl' din-rāt bahut

    chand ko le kar chali gai hai dur kahin baraat bahut

    hum bhi chalo ab so jaen ki bit gai hai raat bahut

    sawan mein ghazab ka sukha tha hui chait mein hai barsat bahut

    rishton ki jagah un rishton ki ab hone lagi hai baat bahut

    ja pahunche log to manzil par main KHush hun ab tak safar mein hun

    ki mere liye ai jaan-e-ghazal hai hath mein tera hath bahut

    kuchh log hamari basti mein aa gae hain sakte mein sun kar

    ki wo jo kal tak gunge the ab karne lage hain baat bahut

    soch-samajh kar baat kiya kar ai sultan faqiron se

    ho sakta hai kisi faqir ki nikal aae auqat bahut

    daulat walon ki hai shohrat shohrat walon ki daulat

    izzat se hain hum basti mein ye hi baDi hai baat bahut

    do roz judai ke tujh se itni to baDi koi baat nahin

    barson se bhi lambe dekhe hain hum ne to 'salil' din-raat bahut

    Source:

    Dhoop Ke Saye Mein (Pg. 51)

    • Author: Kuldeep Salil
      • Publisher: Hind Pocket Books, Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now