Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand nikla hai sar-e-qarya-e-zulmat dekho

Muneer Niyazi

chand nikla hai sar-e-qarya-e-zulmat dekho

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    chāñd niklā hai sar-e-qarya-e-zulmat dekho

    ho ga.ī kaisī siyah-ḳhānoñ rañgat dekho

    sāmne jo hai use aañkh dhokā samjho

    in dayāroñ ko sadā ḳhvāb sūrat dekho

    sair hai jaise koii, aise jahāñ se guzro

    duur tak phailā hai ik arsa-e-furqat dekho

    zar parchhā.īñ jo paḌtī hai chamak uThtā hai

    ādam-e-ḳhāk be-hoshī meñ hālat dekho

    ḳhauf detā hai yahāñ abr meñ tanhā honā

    shahr-e-dar-band meñ dīvāroñ kasrat dekho

    saaya hai un pe bahut bhūlī huī yādoñ

    shaam aa.ī hai parī-zādoñ meñ vahshat dekho

    daaġh hai is ke na hone se diloñ meñ ab tak

    uḌ gayā misl-e-sabā gul haqīqat dekho

    jañgaloñ meñ koī pīchhe se bulā.e to 'munīr'

    muḌ ke raste meñ kabhī us taraf mat dekho

    chand nikla hai sar-e-qarya-e-zulmat dekho

    ho gai kaisi siyah-KHanon ki rangat dekho

    samne jo hai use aankh ka dhoka samjho

    in dayaron ko sada KHwab ki surat dekho

    sair hai jaise koi, aise jahan se guzro

    dur tak phaila hai ek arsa-e-furqat dekho

    zar ki parchhain jo paDti hai chamak uThta hai

    aadam-e-KHak ki be-hoshi mein haalat dekho

    KHauf deta hai yahan abr mein tanha hona

    shahr-e-dar-band mein diwaron ki kasrat dekho

    saya hai un pe bahut bhuli hui yaadon ka

    sham aai hai pari-zadon mein wahshat dekho

    dagh hai is ke na hone se dilon mein ab tak

    uD gaya misl-e-saba gul ki haqiqat dekho

    jangalon mein koi pichhe se bulae to 'munir'

    muD ke raste mein kabhi us ki taraf mat dekho

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 581)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now