Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand par hai mujhe tera hi guman aaj ki raat

Ishrat Anwar

chand par hai mujhe tera hi guman aaj ki raat

Ishrat Anwar

MORE BYIshrat Anwar

    chāñd par hai mujhe terā gumāñ aaj raat

    sūjhtā nahīñ kuchh sūd-o-ziyāñ aaj raat

    dard-e-insān meñ insān miTā jaatā hai

    ik na.e ahd miltā hai nishāñ aaj raat

    jāma-e-hastī-e-insāñ hai ba-rañg-e-mātam

    uTh rahā hai sham-e-sozāñ se dhuāñ aaj raat

    ik na.e moḌ pe hai dard-e-mohabbat apnā

    dārū-e-dard hai ḳhud dard-e-jahāñ aaj raat

    ai sitāroñ ke ḳhudāvand ye kyā aalam hai

    chāñdnī meñ bhī hai tārīk jahāñ aaj raat

    kyā hai me.arāj yahī dard lazzat apnī

    kyā isī meñ haiñ rumūz-e-do-jahāñ aaj raat

    duur se aatī haiñ kānoñ meñ diloñ aaheñ

    kyā inhīñ meñ hai ḳhudā-vand-e-jahāñ aaj raat

    jo bhī mazlūm hai dil us ke liye rotā hai

    merī har saañs meñ hai shor-e-fuġhāñ aaj raat

    chand par hai mujhe tera hi guman aaj ki raat

    sujhta hi nahin kuchh sud-o-ziyan aaj ki raat

    dard-e-insan mein insan miTa jata hai

    ek nae ahd ka milta hai nishan aaj ki raat

    jama-e-hasti-e-insan hai ba-rang-e-matam

    uTh raha hai sham-e-sozan se dhuan aaj ki raat

    ek nae moD pe hai dard-e-mohabbat apna

    daru-e-dard hai KHud dard-e-jahan aaj ki raat

    ai sitaron ke KHudawand ye kya aalam hai

    chandni mein bhi hai tarik jahan aaj ki raat

    kya hai mearaj yahi dard ki lazzat apni

    kya isi mein hain rumuz-e-do-jahan aaj ki raat

    dur se aati hain kanon mein dilon ki aahen

    kya inhin mein hai KHuda-wand-e-jahan aaj ki raat

    jo bhi mazlum hai dil us ke liye rota hai

    meri har sans mein hai shor-e-fughan aaj ki raat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now