chand punam ka udasi raat ki
chāñd pūnam kā udāsī raat kī
der tak ḳhāmoshiyoñ ne baat kī
vo na aayā yaad us kī aa ga.ī
shab basar ham ne usī ke saath kī
moḌ laa.e jānib-e-sahrā-e-zabt
aañkh se bahtī nadī jazbāt kī
ḳhushk āñkhoñ meñ agar tum paḌh sako
dāstāneñ haiñ ka.ī barsāt kī
aa.egī ummīd kī koī kiran
khiḌkiyāñ to khol imkānāt kī
hāl-e-dil kyūñkar bayāñ ho 'bhāskar'
'ishq meñ kaisī ḳhabar hālāt kī
chand punam ka udasi raat ki
der tak KHamoshiyon ne baat ki
wo na aaya yaad us ki aa gai
shab basar hum ne usi ke sath ki
moD lae jaanib-e-sahra-e-zabt
aankh se bahti nadi jazbaat ki
KHushk aankhon mein agar tum paDh sako
dastanen hain kai barsat ki
aaegi ummid ki koi kiran
khiDkiyan to khol imkanat ki
haal-e-dil kyunkar bayan ho 'bhaskar'
'ishq mein kaisi KHabar haalat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.