chand se guftugu ki hasrat hai
chāñd se guftugū kī hasrat hai
chāñdnī to mirī mohabbat hai
tanhā tanhā safar nahīñ kaTtā
aaj mujh ko tirī zarūrat hai
maiñ ne qadmoñ meñ rakh diyā hai dil
aap kī aur kyā ijāzat hai
mujh ko anmol kar diyā tū ne
merī qīmat tirī badaulat hai
kaun hastī miTā.egā merī
mujh pe 'muktā' ḳhudā kī rahmat hai
chand se guftugu ki hasrat hai
chandni to meri mohabbat hai
tanha tanha safar nahin kaTta
aaj mujh ko teri zarurat hai
main ne qadmon mein rakh diya hai dil
aap ki aur kya ijazat hai
mujh ko anmol kar diya tu ne
meri qimat teri badaulat hai
kaun hasti miTaega meri
mujh pe 'mukta' KHuda ki rahmat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.