Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand se phul se ya meri zaban se suniye

Nida Fazli

chand se phul se ya meri zaban se suniye

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    chāñd se phuul se merī zabāñ se suniye

    har jagah aap qissa hai jahāñ se suniye

    kyā zarūrī hai ki har parda uThāyā jaa.e

    mere hālāt bhī apne makāñ se suniye

    sab ko aatā nahīñ duniyā ko sajā kar jiinā

    zindagī kyā hai mohabbat zabāñ se suniye

    kaun paḌh saktā hai paanī pe likhī tahrīreñ

    kis ne kyā likkhā hai ye āb-e-ravāñ se suniye

    chāñd meñ kaise huī qaid kisī ghar ḳhushī

    ye kahānī kisī masjid azaañ se suniye

    chand se phul se ya meri zaban se suniye

    har jagah aap ka qissa hai jahan se suniye

    kya zaruri hai ki har parda uThaya jae

    mere haalat bhi apne hi makan se suniye

    sab ko aata nahin duniya ko saja kar jina

    zindagi kya hai mohabbat ki zaban se suniye

    kaun paDh sakta hai pani pe likhi tahriren

    kis ne kya likkha hai ye aab-e-rawan se suniye

    chand mein kaise hui qaid kisi ghar ki KHushi

    ye kahani kisi masjid ki azan se suniye

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Jagjit Singh

    Jagjit Singh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now