chand sitare muTThi mein the suraj se yarana tha
chāñd sitāre muTThī meñ the sūraj se yārāna thā
kyā din the jab ḳhvāb-nagar meñ apnā aanā jaanā thā
ik jaadū sā jaise merī har dhaḌkan meñ utrā thā
mujh ko ḳhud mā'lūm nahīñ maiñ kyoñ itnā dīvāna thā
sab mujh ko saudā.ī kah kar tujh ko rusvā karte the
nazreñ merī or thiiñ lekin terī or nishāna thā
jaane kaisā shaḳhs thā bāteñ dīvānoñ sī kartā thā
ḳhvābīda āñkheñ thiiñ lab par pariyoñ kā afsāna thā
ek kahānī jis meñ shāyad sab kuchh tai thā pahle se
ek fasāna jis meñ sab kuchh mil kar bhī kho jaanā thā
tujhe mukammal karnā thā ik hissa mere qisse kā
mujh ko tere afsāne meñ ik kirdār nibhānā thā
bhiiḌ se bāhar aa kar dekhā thā duniyā ke mele ko
saarī chahal-pahal ke pīchhe jāñ-levā vīrāna thā
āḳhir thak kar chhoḌ diyā hastī kī uljhī ġhutthī ko
suljhāne kī koshish karnā aur use uljhānā thā
chand sitare muTThi mein the suraj se yarana tha
kya din the jab KHwab-nagar mein apna aana jaana tha
ek jadu sa jaise meri har dhaDkan mein utra tha
mujh ko KHud ma'lum nahin main kyon itna diwana tha
sab mujh ko saudai kah kar tujh ko ruswa karte the
nazren meri or thin lekin teri or nishana tha
jaane kaisa shaKHs tha baaten diwanon si karta tha
KHwabida aankhen thin lab par pariyon ka afsana tha
ek kahani jis mein shayad sab kuchh tai tha pahle se
ek fasana jis mein sab kuchh mil kar bhi kho jaana tha
tujhe mukammal karna tha ek hissa mere qisse ka
mujh ko tere afsane mein ek kirdar nibhana tha
bhiD se bahar aa kar dekha tha duniya ke mele ko
sari chahal-pahal ke pichhe jaan-lewa virana tha
aaKHir thak kar chhoD diya hasti ki uljhi ghutthi ko
suljhane ki koshish karna aur use uljhana tha
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 103)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.