Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand sitare phul parinde sham sawera ek taraf

Varun Anand

chand sitare phul parinde sham sawera ek taraf

Varun Anand

MORE BYVarun Anand

    chāñd sitāre phuul parinde shaam saverā ek taraf

    saarī duniyā us charba us chehrā ek taraf

    vo laḌ kar bhī so jaa.e to us māthā chūmūñ maiñ

    us se mohabbat ek taraf hai us se jhagḌā ek taraf

    jis shai par vo uñglī rakh de us ko vo dilvānī hai

    us ḳhushiyāñ sab se avval sastā mahñgā ek taraf

    saarī duniyā jo bhī bole sab kuchh shor-sharāba hai

    sab kahnā ek taraf hai us kahnā ek taraf

    zaḳhmoñ par marham lagvāo lekin us ke hāthoñ se

    chāra-sāzī ek taraf hai us chhūnā ek taraf

    us ne saarī duniyā māñgī maiñ ne us ko māñgā hai

    us ke sapne ek taraf haiñ merā sapnā ek taraf

    chand sitare phul parinde sham sawera ek taraf

    sari duniya us ka charba us ka chehra ek taraf

    wo laD kar bhi so jae to us ka matha chumun main

    us se mohabbat ek taraf hai us se jhagDa ek taraf

    jis shai par wo ungli rakh de us ko wo dilwani hai

    us ki KHushiyan sab se awwal sasta mahnga ek taraf

    sari duniya jo bhi bole sab kuchh shor-sharaba hai

    sab ka kahna ek taraf hai us ka kahna ek taraf

    zaKHmon par marham lagwao lekin us ke hathon se

    chaara-sazi ek taraf hai us ka chhuna ek taraf

    us ne sari duniya mangi main ne us ko manga hai

    us ke sapne ek taraf hain mera sapna ek taraf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now