Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chandi ka badan sone ka man DhunD raha hai

Pratap Somvanshi

chandi ka badan sone ka man DhunD raha hai

Pratap Somvanshi

MORE BYPratap Somvanshi

    chāñdī badan sone man DhūñD rahā hai

    auroñ maiñ achchhā.ī dhan DhūñDh rahā hai

    kuchh peḌ haiñ nafrat havā jin se baḌhī hai

    ye baaġh magar ab bhī aman DhūñD rahā hai

    sañgam ke ilāqe se hai pahchān hamārī

    ye dil to vahī gañg-o-jaman DhūñD rahā hai

    anjān se ik ḳhauf ko Dhotā huā insān

    apne ko bachāne jatan DhūñD rahā hai

    gaañv ke har ik ḳhvāb meñ shahroñ kahānī

    shahroñ meñ jise dekho vatan DhūñD rahā hai

    logoñ ne yahāñ raam se sīkhā to yahī bas

    har shaḳhs sone hiran DhūñD rahā hai

    chandi ka badan sone ka man DhunD raha hai

    auron main hi achchhai ka dhan DhunDh raha hai

    kuchh peD hain nafrat ki hawa jin se baDhi hai

    ye bagh magar ab bhi aman DhunD raha hai

    sangam ke ilaqe se hai pahchan hamari

    ye dil to wahi gang-o-jaman DhunD raha hai

    anjaan se ek KHauf ko Dhota hua insan

    apne ko bachane ka jatan DhunD raha hai

    ganw ke har ek KHwab mein shahron ki kahani

    shahron mein jise dekho watan DhunD raha hai

    logon ne yahan ram se sikha to yahi bas

    har shaKHs hi sone ka hiran DhunD raha hai

    Source:

    Itwar chhota pad gaya (Pg. 141)

    • Author: Pratap Somvanshi
      • Edition: 2016
      • Publisher: Vani Prakashan
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now