aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chandni har shab ko karti hai kinara chandni

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

chandni har shab ko karti hai kinara chandni

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    chāñdnī har shab ko kartī hai kinārā chāñdnī

    tere ḳhātir muñh ko dikhlātī hai taarā chāñdnī

    aaj mahtābī pe chaḌhtā hai vo bahr-e-sair-e-māh

    jāntā huuñ kuchh tirā chamkā sitārā chāñdnī

    be-zarūrat ḳhush nahīñ aatī jahāñ meñ koī chiiz

    fasl-e-sarmā meñ nahīñ hotī gavārā chāñdnī

    chaḌhā shab ko jo mahtābī pe bahr-e-chashm-e-bad

    āsmāñ se utre karne ko utārā chāñdnī

    vasl shab samā āñkhoñ meñ chhāyā hai mire

    māh-rū dekhe na phir vaise dobārā chāñdnī

    rote rote Dūbtā hai jab shab-e-furqat meñ dil

    jāntā huuñ saaf dariyā kinārā chāñdnī

    chandni har shab ko karti hai kinara chandni

    tere KHatir munh ko dikhlati hai tara chandni

    aaj mahtabi pe chaDhta hai wo bahr-e-sair-e-mah

    jaanta hun kuchh tera chamka sitara chandni

    be-zarurat KHush nahin aati jahan mein koi chiz

    fasl-e-sarma mein nahin hoti gawara chandni

    tu chaDha shab ko jo mahtabi pe bahr-e-chashm-e-bad

    aasman se utre karne ko utara chandni

    wasl ki shab ka sama aankhon mein chhaya hai mere

    mah-ru dekhe na phir waise dobara chandni

    rote rote Dubta hai jab shab-e-furqat mein dil

    jaanta hun saf dariya ka kinara chandni

    Source:

    Deewan-e-Naseem (Pg. 37)

    • Author: Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
      • Publisher: Matba Gulshan-e-Faiz, Lucknow
      • Year of Publication: 1895
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now