Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chahaar samt mile ku-ba-ku dikhai de

Mehr Husain Naqvi

chahaar samt mile ku-ba-ku dikhai de

Mehr Husain Naqvi

MORE BYMehr Husain Naqvi

    chahār samt mile kū-ba-kū dikhā.ī de

    maiñ ek nazm kahūñ jis meñ dikhā.ī de

    vo sāmne ho to sairāb is tarah se ho

    ki chashm diid meñ bhartā subū dikhā.ī de

    ḳhayāl-e-vasl se zarḳhez ho zamīn-e-dil

    to phir ġhazal meñ tirī guftugū dikhā.ī de

    ye mo.ajizāt tire vasl se nasīb hue

    tujhe jo sochūñ to rū-ba-rū dikhā.ī de

    tere ḳhayāl ḳhushbū se ham kahāñ pahuñche

    ye naqsh-e-pā sabhī justujū dikhā.ī de

    kise zamīn-o-zamāñ talab rahegī bhalā

    jo ishq sajde meñ ho qibla-rū dikhā.ī de

    suḳhan-shanās ne baḳhshā hai vo junūn-e-talab

    'husain' ramz-e-sahar chār-sū dikhā.ī de

    chahaar samt mile ku-ba-ku dikhai de

    main ek nazm kahun jis mein tu dikhai de

    wo samne ho to sairab is tarah se ho

    ki chashm did mein bharta subu dikhai de

    KHayal-e-wasl se zarKHez ho zamin-e-dil

    to phir ghazal mein teri guftugu dikhai de

    ye moajizat tere wasl se nasib hue

    tujhe jo sochun to tu ru-ba-ru dikhai de

    tere KHayal ki KHushbu se hum kahan pahunche

    ye naqsh-e-pa ki sabhi justuju dikhai de

    kise zamin-o-zaman ki talab rahegi bhala

    jo ishq sajde mein ho qibla-ru dikhai de

    suKHan-shanas ne baKHsha hai wo junun-e-talab

    'husain' ramz-e-sahar chaar-su dikhai de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now