Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chain milta nahin ghar mein bhi qayamat kya hai

Syed Masood Hasan Masood

chain milta nahin ghar mein bhi qayamat kya hai

Syed Masood Hasan Masood

MORE BYSyed Masood Hasan Masood

    chain miltā nahīñ ghar meñ bhī qayāmat kyā hai

    uTh ke sau baar maiñ baiThā huuñ ye vahshat kyā hai

    us se be-mehrī-o-furqat shikāyat kyā hai

    jis ko ye bhī nahīñ mālūm mohabbat kyā hai

    ke ik jaam jo behosh banā hai zī-hosh

    mai tāsīr hai saaqī karāmat kyā hai

    vaj.h-e-āzār hai ḳhud jin ke liye tūl-e-hayāt

    un ko andesha-e-shām-o-shab-e-furqat kyā hai

    dījiye hukm to bīmār mushkil hal ho

    kaam kar legī ajal aap ko zahmat kyā hai

    haal isyāñ gunahgār bayāñ kar deñge

    un se pūchhegī jo aa kar tirī rahmat kyā hai

    maut se kahte haiñ vo ke kabhī dekh to aa

    mere bīmār-e-shab-e-hijr hālat kyā hai

    aap kyā jāneñ guzartī hai jo is par shab-o-roz

    aap kyā jāneñ ki dil mire hālat kyā hai

    gird-e-mai-ḳhāna lagātā hai hazāroñ chakkar

    saaf kah ham se ki vaa.iz tirī niyyat kyā hai

    taare gin gin ke shab-e-hijr guzar jaatī hai

    niiñd dam bhar nahīñ aatī ye musībat kyā hai

    shūmī-e-baḳht 'mas.ūd' ho kyā fikr mujhe

    shukr har haal meñ lāzim hai shikāyat kyā he

    chain milta nahin ghar mein bhi qayamat kya hai

    uTh ke sau bar main baiTha hun ye wahshat kya hai

    us se be-mehri-o-furqat ki shikayat kya hai

    jis ko ye bhi nahin malum mohabbat kya hai

    pi ke ek jam jo behosh bana hai zi-hosh

    mai ki tasir hai saqi ki karamat kya hai

    wajh-e-azar hai KHud jin ke liye tul-e-hayat

    un ko andesha-e-sham-o-shab-e-furqat kya hai

    dijiye hukm to bimar ki mushkil hal ho

    kaam kar legi ajal aap ko zahmat kya hai

    haal isyan ka gunahgar bayan kar denge

    un se puchhegi jo aa kar teri rahmat kya hai

    maut se kahte hain wo ja ke kabhi dekh to aa

    mere bimar-e-shab-e-hijr ki haalat kya hai

    aap kya jaanen guzarti hai jo is par shab-o-roz

    aap kya jaanen ki dil ki mere haalat kya hai

    gird-e-mai-KHana lagata hai hazaron chakkar

    saf kah hum se ki waiz teri niyyat kya hai

    tare gin gin ke shab-e-hijr guzar jati hai

    nind dam bhar nahin aati ye musibat kya hai

    shumi-e-baKHt ki 'masud' ho kya fikr mujhe

    shukr har haal mein lazim hai shikayat kya he

    Source:

    Bagh-e-Dilkash (Pg. 187)

    • Author: Syed Masood Hasan Masood
      • Publisher: Unknown Organization
      • Year of Publication: 1938
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now