Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chal nikalti hain gham-e-yar se baaten kya kya

Ahmad Faraz

chal nikalti hain gham-e-yar se baaten kya kya

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    chal nikaltī haiñ ġham-e-yār se bāteñ kyā kyā

    ham ne bhī kiiñ dar-o-dīvār se bāteñ kyā kyā

    baat ban aa.ī hai phir se ki mire baare meñ

    us ne pūchhīñ mire ġham-ḳhvār se bāteñ kyā kyā

    log lab-basta agar hoñ to nikal aatī haiñ

    chup ke pairāya-e-iz.hār se bāteñ kyā kyā

    kisī saudā.ī qissa kisī harjā.ī baat

    log le aate haiñ bāzār se bāteñ kyā kyā

    ham ne bhī dast-shanāsī ke bahāne haiñ

    haath meñ haath liye pyaar se bāteñ kyā kyā

    kis ko biknā thā magar ḳhush haiñ ki is hiile se

    ho ga.iiñ apne ḳharīdār se bāteñ kyā kyā

    ham haiñ ḳhāmosh ki majbūr-e-mohabbat the 'farāz'

    varna mansūb haiñ sarkār se bāteñ kyā kyā

    chal nikalti hain gham-e-yar se baaten kya kya

    hum ne bhi kin dar-o-diwar se baaten kya kya

    baat ban aai hai phir se ki mere bare mein

    us ne puchhin mere gham-KHwar se baaten kya kya

    log lab-basta agar hon to nikal aati hain

    chup ke pairaya-e-izhaar se baaten kya kya

    kisi saudai ka qissa kisi harjai ki baat

    log le aate hain bazar se baaten kya kya

    hum ne bhi dast-shanasi ke bahane ki hain

    hath mein hath liye pyar se baaten kya kya

    kis ko bikna tha magar KHush hain ki is hile se

    ho gain apne KHaridar se baaten kya kya

    hum hain KHamosh ki majbur-e-mohabbat the 'faraaz'

    warna mansub hain sarkar se baaten kya kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now