Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chale gae ho sukun-o-qarar-e-jaan le kar

Hasan Tahir

chale gae ho sukun-o-qarar-e-jaan le kar

Hasan Tahir

MORE BYHasan Tahir

    chale ga.e ho sukūn-o-qarār-e-jāñ le kar

    ham apne dard ko jaa.eñ kahāñ kahāñ le kar

    bahut dinoñ meñ milā hai payām-e-mausam-e-gul

    nasīm-e-sub.h chalī hai kashāñ kashāñ le kar

    ab apne apne muqaddar pe baat Thahrī hai

    uThā hai abr-e-guhar-bār bijliyāñ le kar

    yahāñ na maiñ huuñ na hai na koī shahnā.ī

    pahuñch ga.ī hai tirī aarzū kahāñ le kar

    na.e haiñ jism ke tāroñ pe ruuh ke naġhme

    uThe haiñ bazm se ik kaif-e-jāvedāñ le kar

    ġham-e-hayāt ne fursat na sunāne

    chale the ham bhī mohabbat dāstāñ le kar

    chale gae ho sukun-o-qarar-e-jaan le kar

    hum apne dard ko jaen kahan kahan le kar

    bahut dinon mein mila hai payam-e-mausam-e-gul

    nasim-e-subh chali hai kashan kashan le kar

    ab apne apne muqaddar pe baat Thahri hai

    uTha hai abr-e-guhar-bar bijliyan le kar

    yahan na main hun na tu hai na koi shahnai

    pahunch gai hai teri aarzu kahan le kar

    nae hain jism ke taron pe ruh ke naghme

    uThe hain bazm se ek kaif-e-jawedan le kar

    gham-e-hayat ne fursat na di sunane ki

    chale the hum bhi mohabbat ki dastan le kar

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 427)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now