Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chale jaenge sab asbab hairani na jaegi

Mubeen Mirza

chale jaenge sab asbab hairani na jaegi

Mubeen Mirza

MORE BYMubeen Mirza

    chale jā.eñge sab asbāb hairānī na jā.egī

    kisī sūrat dil-o-jāñ ye arzānī na jā.egī

    so ab tai hai na jā.eñgī ye dil vahshateñ jab tak

    ragoñ meñ is umaDte ḳhuuñ tuġhyānī na jā.egī

    sabab ye hai ki pahle ho chukā hai faisla so ab

    gavāhī to jā.egī magar maanī na jā.egī

    tujhe us dar se lenā thā nayā ranj-o-alam har pal

    dil-e-vahshat-asar terī tan-āsānī na jā.egī

    khulā ye ḳhuun vahshat hai so maiñ mar to saktā huuñ

    mire andar se lekin ḳhū-e-sultānī na jā.egī

    mayassar ā.eñgī har pal bahut āsā.isheñ lekin

    mujhe mā'lūm hai ab dil vīrānī na jā.egī

    chale jaenge sab asbab hairani na jaegi

    kisi surat dil-o-jaan ki ye arzani na jaegi

    so ab tai hai na jaengi ye dil ki wahshaten jab tak

    ragon mein is umaDte KHun ki tughyani na jaegi

    sabab ye hai ki pahle ho chuka hai faisla so ab

    gawahi di to jaegi magar mani na jaegi

    tujhe us dar se lena tha naya ranj-o-alam har pal

    dil-e-wahshat-asar teri tan-asani na jaegi

    khula ye KHun ki wahshat hai so main mar to sakta hun

    mere andar se lekin KHu-e-sultani na jaegi

    mayassar aaengi har pal bahut aasaishen lekin

    mujhe ma'lum hai ab dil ki virani na jaegi

    Source :
    • Book : Tabani (Pg. 27)
    • Author : Mubeen Mirza
    • Publication : Academy Bazyaft (2015)
    • Edition : 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now