Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chali KHirad ki na kuchh aagahi ne sath diya

Syeda Shan-e-Meraj

chali KHirad ki na kuchh aagahi ne sath diya

Syeda Shan-e-Meraj

MORE BYSyeda Shan-e-Meraj

    chalī ḳhirad na kuchh āgahī ne saath diyā

    rah-e-junūñ meñ faqat be-ḳhudī ne saath diyā

    shab-e-firāq zulmat meñ ġham ke māroñ

    tire ḳhayāl tābindagī ne saath diyā

    tamām raat tarāshe hasīñ hasīñ paikar

    tamām raat fan-e-āzarī ne saath diyā

    agar zabāñ se bayāñ hāl-e-ġham na ho paayā

    huzūr-e-dost mirī ḳhāmushī ne saath diyā

    gurez aur tire dāman se vo to ḳhair huī

    mire ḳhulūs pākīzgī ne saath diyā

    ham aur aap se iz.hār-e-ārzū karte

    ye kahiye shauq vāraftagī ne saath diyā

    chali KHirad ki na kuchh aagahi ne sath diya

    rah-e-junun mein faqat be-KHudi ne sath diya

    shab-e-firaq ki zulmat mein gham ke maron ka

    tere KHayal ki tabindagi ne sath diya

    tamam raat tarashe hasin hasin paikar

    tamam raat fan-e-azari ne sath diya

    agar zaban se bayan haal-e-gham na ho paya

    huzur-e-dost meri KHamushi ne sath diya

    gurez aur tere daman se wo to KHair hui

    mere KHulus ki pakizgi ne sath diya

    hum aur aap se izhaar-e-arzu karte

    ye kahiye shauq ki waraftagi ne sath diya

    Source:

    Saahil Seep Samandar (Pg. 81)

    • Author: Syeda Shan-e-Meraj
      • Publisher: Takhleeqkar Publishers, Delhi
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now