Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chali mastanon ki Toli ki ab mausam badalta hai

Swati Sani Resham

chali mastanon ki Toli ki ab mausam badalta hai

Swati Sani Resham

MORE BYSwati Sani Resham

    chalī mastānoñ Tolī ki ab mausam badaltā hai

    hai rangoñ se bharī jholī ki ab mausam badaltā hai

    chaman meñ shor-o-ġhul hai aur rangoñ haiñ barsāteñ

    biraj meñ aaj hai horī ki ab mausam badaltā hai

    sadā koyal jab aa.e shajar pe baur bhar aa.e

    mahak uThtī hai amrā.ī ki ab mausam badaltā hai

    bichhaune lag ga.e chhat par sitāre 'arsh par chhā.e

    surāhī bhī bharī rakkhī ki ab mausam badaltā hai

    ghaTā vaadī pe ghir aatī havā meñ tāzgī laatī

    papīhe ne sadā de ki ab mausam badaltā hai

    koī bijlī kahīñ chamkī koī badrī kahīñ barsī

    suhānī shaam sāvan ki ab mausam badaltā hai

    paḌī jo buuñd bārish to soñdhī miTTī mahkī yuuñ

    chaman mahkā kalī chaTkī ki ab mausam badaltā hai

    chalī aatī haiñ sub.heñ ab gulābī oḌhnī pahne

    sajī phūloñ se hai dhartī ki ab mausam badaltā hai

    sitāre muskurāte haiñ falak pe jhilmilāte haiñ

    havā meñ ḳhunkī hai thoḌī ki ab mausam badaltā hai

    kabhī jab shaam Dhal jaa.e havā jab sard ho jaa.e

    bharī ho chaa.e pyālī ki ab mausam badaltā hai

    umangeñ aur javāñ rāteñ kabhī sho'la kabhī shabnam

    pa ab zulfoñ meñ hai chāñdī ki ab mausam badaltā hai

    vahī gul thā vahī ḳhushbū magar gulshan banā dushman

    ḳhizāñ aa.ī chalī āñdhī ki ab mausam badaltā hai

    dhanak ke rang bikhrā do mohabbat jaag jā.egī

    zamāne ko sikhā degī ki ab mausam badaltā hai

    diloñ meñ qaid the tanhā ye mausam chāhatoñ ke sab

    mohabbat ne sadā de ki ab mausam badaltā hai

    guloñ se rang-o-bū chun kar sajā le zindagī 'resham'

    mahaktī raat raanī ki ab mausam badaltā hai

    chali mastanon ki Toli ki ab mausam badalta hai

    hai rangon se bhari jholi ki ab mausam badalta hai

    chaman mein shor-o-ghul hai aur rangon ki hain barsaten

    biraj mein aaj hai hori ki ab mausam badalta hai

    sada koyal ki jab aae shajar pe baur bhar aae

    mahak uThti hai amrai ki ab mausam badalta hai

    bichhaune lag gae chhat par sitare 'arsh par chhae

    surahi bhi bhari rakkhi ki ab mausam badalta hai

    ghaTa wadi pe ghir aati hawa mein tazgi lati

    papihe ne sada de di ki ab mausam badalta hai

    koi bijli kahin chamki koi badri kahin barsi

    suhani sham sawan ki ki ab mausam badalta hai

    paDi jo bund barish ki to sondhi miTTi mahki yun

    chaman mahka kali chaTki ki ab mausam badalta hai

    chali aati hain subhen ab gulabi oDhni pahne

    saji phulon se hai dharti ki ab mausam badalta hai

    sitare muskuraate hain falak pe jhilmilate hain

    hawa mein KHunki hai thoDi ki ab mausam badalta hai

    kabhi jab sham Dhal jae hawa jab sard ho jae

    bhari ho chae ki pyali ki ab mausam badalta hai

    umangen aur jawan raaten kabhi sho'la kabhi shabnam

    pa ab zulfon mein hai chandi ki ab mausam badalta hai

    wahi gul tha wahi KHushbu magar gulshan bana dushman

    KHizan aai chali aandhi ki ab mausam badalta hai

    dhanak ke rang bikhra do mohabbat jag jaegi

    zamane ko sikha degi ki ab mausam badalta hai

    dilon mein qaid the tanha ye mausam chahaton ke sab

    mohabbat ne sada de di ki ab mausam badalta hai

    gulon se rang-o-bu chun kar saja le zindagi 'resham'

    mahakti raat ki rani ki ab mausam badalta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now