Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chalo hum hi pahal kar den ki humse bad-guman kyun ho

Waseem Barelvi

chalo hum hi pahal kar den ki humse bad-guman kyun ho

Waseem Barelvi

MORE BYWaseem Barelvi

    chalo ham pahal kar deñ ki ham se bad-gumāñ kyuuñ ho

    koī rishta zarā zid ḳhātir rā.egāñ kyuuñ ho

    maiñ zinda huuñ to is zinda-zamīrī badaulat

    jo bole tere lahje meñ bhalā merī zabāñ kyuuñ ho

    savāl āḳhir ye ik din dekhnā ham uThā.eñge

    na samjhe jo zamīñ ke ġham vo apnā āsmāñ kyuuñ ho

    hamārī guftugū aur bhī samteñ bahut haiñ

    kisī dil dukhāne ko phir apnī zabāñ kyuuñ ho

    bikhar kar rah gayā hamsā.egī ḳhvāb varna

    diye is ghar meñ raushan hoñ to us ghar meñ dhuāñ kyuuñ ho

    mohabbat āsmāñ ko jab zamīñ karne zid Thahrī

    to phir buzdil usūloñ sharāfat darmiyāñ kyuuñ ho

    ummīdeñ saarī duniyā se 'vasīm' aur ḳhud meñ aise ġham

    kisī pe kuchh na zāhir ho to koī mehrbāñ kyuuñ ho

    chalo hum hi pahal kar den ki hum se bad-guman kyun ho

    koi rishta zara si zid ki KHatir raegan kyun ho

    main zinda hun to is zinda-zamiri ki badaulat hi

    jo bole tere lahje mein bhala meri zaban kyun ho

    sawal aaKHir ye ek din dekhna hum hi uThaenge

    na samjhe jo zamin ke gham wo apna aasman kyun ho

    hamari guftugu ki aur bhi samten bahut si hain

    kisi ka dil dukhane hi ko phir apni zaban kyun ho

    bikhar kar rah gaya hamsaegi ka KHwab hi warna

    diye is ghar mein raushan hon to us ghar mein dhuan kyun ho

    mohabbat aasman ko jab zamin karne ki zid Thahri

    to phir buzdil usulon ki sharafat darmiyan kyun ho

    ummiden sari duniya se 'wasim' aur KHud mein aise gham

    kisi pe kuchh na zahir ho to koi mehrban kyun ho

    Source:

    Mera Kiya (Pg. 38)

    • Author: Waseem Barelvi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Maktaba Jamia Ltd.
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now