chalte chalte aafiyat ka ek maqam aa hi gaya

chalte chalte aafiyat ka ek maqam aa hi gaya
Dharampal Gupta Wafa Dehlvi
MORE BYDharampal Gupta Wafa Dehlvi
chalte chalte 'āfiyat kā ik maqām aa hī gayā
sū-e-maqtal kārvān-e-tez-gām aa hī gayā
ho gayā ifshā-e-rāz-e-‘ishq is ko kyā karūñ
marte dam merī zabāñ par un kā naam aa hī gayā
un kā dāman bhī liyā apne garebāñ kī tarah
puḳhtagī par ab mirā saudā-e-ḳhām aa hī gayā
is adā-e-ruḳh pe bikhre un ke gesū-e-hasīñ
murġh-e-dil āḳhir taḌap kar zer-e-dām aa hī gayā
bāda-noshoñ ko milā sabr-o-tahammul kā sila
abr-e-tar chhā hī gayā gardish meñ jaam aa hī gayā
chalte chalte 'afiyat ka ek maqam aa hi gaya
su-e-maqtal karwan-e-tez-gam aa hi gaya
ho gaya ifsha-e-raaz-e-‘ishq is ko kya karun
marte dam meri zaban par un ka nam aa hi gaya
un ka daman bhi liya apne gareban ki tarah
puKHtagi par ab mera sauda-e-KHam aa hi gaya
is ada-e-ruKH pe bikhre un ke gesu-e-hasin
murgh-e-dil aaKHir taDap kar zer-e-dam aa hi gaya
baada-noshon ko mila sabr-o-tahammul ka sila
abr-e-tar chha hi gaya gardish mein jam aa hi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.