Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chalte chalte ye haalat hui rah mein bin piye mai-kashi ka maza aa gaya

Mumtaz Naseem

chalte chalte ye haalat hui rah mein bin piye mai-kashi ka maza aa gaya

Mumtaz Naseem

MORE BYMumtaz Naseem

    chalte chalte ye hālat huī raah meñ bin piye mai-kashī mazā aa gayā

    paas koī nahīñ thā magar yuuñ lagā koī dil se mire aa ke Takrā gayā

    aaj pahle-pahal tajraba ye huā iid hotī hai aisī ḳhabar na thī

    chāñd ko dekhne ghar se jab maiñ chalī dūsrā chāñd mere qarīb aa gayā

    ai havā-e-chaman mujh pe ehsāñ na kar nik.hat-e-gul mujh ko zarūrat nahīñ

    ishq raah meñ pyaar ke itr se mere saare badan ko vo mahkā gayā

    hijr mere dil meñ añdherā kiye vo jo pardes meñ thā baserā kiye

    jis ke aane koī gumāñ bhī na thā daf.atan mujh ko aa ke vo chauñkā gayā

    rañg 'mumtāz' chehre aisā khilā zindagī meñ nayā hādisa ho gayā

    aa.ina aur maiñ donoñ hairān the maiñ bhī sharmā ga.ī vo bhī sharmā gayā

    chalte chalte ye haalat hui rah mein bin piye mai-kashi ka maza aa gaya

    pas koi nahin tha magar yun laga koi dil se mere aa ke Takra gaya

    aaj pahle-pahal tajraba ye hua id hoti hai aisi KHabar hi na thi

    chand ko dekhne ghar se jab main chali dusra chand mere qarib aa gaya

    ai hawa-e-chaman mujh pe ehsan na kar nikhat-e-gul ki mujh ko zarurat nahin

    ishq ki rah mein pyar ke itr se mere sare badan ko wo mahka gaya

    hijr ka mere dil mein andhera kiye wo jo pardes mein tha basera kiye

    jis ke aane ka koi guman bhi na tha dafatan mujh ko aa ke wo chaunka gaya

    rang 'mumtaz' chehre ka aisa khila zindagi mein naya hadisa ho gaya

    aaina aur main donon hairan the main bhi sharma gai wo bhi sharma gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now