Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chalte hue ek roz Thahar jaenge hum bhi

Shakeel Ibn-e-Sharf

chalte hue ek roz Thahar jaenge hum bhi

Shakeel Ibn-e-Sharf

MORE BYShakeel Ibn-e-Sharf

    chalte hue ik roz Thahar jā.eñge ham bhī

    dariyā haiñ samundar meñ utar jā.eñge ham bhī

    ab baiTh ke zaḳhmoñ se lahū poñchh rahā hai

    pahle to vo samjhā thā ki Dar jā.eñge ham bhī

    ye kyā ki har ilzām hamāre sar aa.e

    ā.īna bano tum to sañvar jā.eñge ham bhī

    toḌeñge nahīñ apne qabīle rivāyat

    hañste hue maqtal se guzar jā.eñge ham bhī

    bhātī hai hameñ bhī dar-o-dīvār ḳhushbū

    kuchh ḳhvāb kamā leñge to ghar jā.eñge ham bhī

    iḳhlās ke rishte ne hameñ bāñdh rakhā hai

    dushman ye samajhtā thā bikhar jā.eñge ham bhī

    sharminda huā ghar meñ vo kuchh der lagā kar

    samjhā thā sadā de ke guzar jā.eñge ham bhī

    chalte hue ek roz Thahar jaenge hum bhi

    dariya hain samundar mein utar jaenge hum bhi

    ab baiTh ke zaKHmon se lahu ponchh raha hai

    pahle to wo samjha tha ki Dar jaenge hum bhi

    ye kya ki har ilzam hamare hi sar aae

    aaina bano tum to sanwar jaenge hum bhi

    toDenge nahin apne qabile ki riwayat

    hanste hue maqtal se guzar jaenge hum bhi

    bhati hai hamein bhi dar-o-diwar ki KHushbu

    kuchh KHwab kama lenge to ghar jaenge hum bhi

    iKHlas ke rishte ne hamein bandh rakha hai

    dushman ye samajhta tha bikhar jaenge hum bhi

    sharminda hua ghar mein wo kuchh der laga kar

    samjha tha sada de ke guzar jaenge hum bhi

    Source:

    Khushbu Ka Badan (Pg. 48)

    • Author: Shakeel Ibn-e-Sharf
      • Publisher: Bazm-e-Muhibban Shakeel, Dhoole
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now