Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chamak chehre ki honTon ki hansi dekhi nahin jati

Sardar Panchhi

chamak chehre ki honTon ki hansi dekhi nahin jati

Sardar Panchhi

MORE BYSardar Panchhi

    chamak chehre hoñToñ hañsī dekhī nahīñ jaatī

    sitamgar se mirī zinda-dilī dekhī nahīñ jaatī

    guloñ se kah rahī haiñ titliyāñ mat ḳhanda-zan honā

    ki ham se bāġhbāñ be-ruḳhī dekhī nahīñ jaatī

    hameñ āñkheñ milī haiñ shā.iroñ jaisī ki ham se to

    kisī dushman kashtī Dūbtī dekhī nahīñ jaatī

    nadī ḳhud ḳhushk ho jaatī hai donoñ ko milāne meñ

    nadī se sāhiloñ bebasī dekhī nahīñ jaatī

    ḳhazāna aab ye ābshāreñ kyoñ luTātī haiñ

    ki in se koī bhī sūkhī nadī dekhī nahīñ jaatī

    vahī bas chāñd sūraj se bahut nārāz rahtī haiñ

    ki jin āñkhoñ se un raushnī dekhī nahīñ jaatī

    vo ambar hai maiñ panchhī huuñ vo gul hai to maiñ bulbul huuñ

    kahīñ bhī is tarah dostī dekhī nahīñ jaatī

    chamak chehre ki honTon ki hansi dekhi nahin jati

    sitamgar se meri zinda-dili dekhi nahin jati

    gulon se kah rahi hain titliyan mat KHanda-zan hona

    ki hum se baghban ki be-ruKHi dekhi nahin jati

    hamein aankhen mili hain shairon jaisi ki hum se to

    kisi dushman ki kashti Dubti dekhi nahin jati

    nadi KHud KHushk ho jati hai donon ko milane mein

    nadi se sahilon ki bebasi dekhi nahin jati

    KHazana aab ka ye aabshaaren kyon luTati hain

    ki in se koi bhi sukhi nadi dekhi nahin jati

    wahi bas chand suraj se bahut naraaz rahti hain

    ki jin aankhon se un ki raushni dekhi nahin jati

    wo ambar hai main panchhi hun wo gul hai to main bulbul hun

    kahin bhi is tarah ki dosti dekhi nahin jati

    Source:

    Ghair Muslim Ghazalgo (Pg. 54)

      • Publisher: Syed Naushad Ali
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now