chaman bhi tera aashiq-e-zar tha
chaman bhī tirā āshiq-e-zār thā
gul-e-surḳh ik zard ruḳhsār thā
ga.ī niiñd shevan se bulbul kī raat
kahīñ dil hamārā giraftār thā
qad-e-yār ke aage sarv-e-chaman
khaḌā duur jaise gunahgār thā
yahī jins-e-dil kī garāñ qadr thī
vale jab talak tū ḳharīdār thā
bahut ro.e ham shabnam-o-gul ko dekh
ki chaspāñ hameñ bhī kahīñ pyaar thā
mujhe ai dil-e-chāk kyā shāna sā
kisū zulf se kuchh sarokār thā
gayā 'mīr' yaañ se karoge jo yaad
kahoge ki miskīñ ajab yaar thā
chaman bhi tera aashiq-e-zar tha
gul-e-surKH ek zard ruKHsar tha
gai nind shewan se bulbul ki raat
kahin dil hamara giraftar tha
qad-e-yar ke aage sarw-e-chaman
khaDa dur jaise gunahgar tha
yahi jins-e-dil ki garan qadr thi
wale jab talak tu KHaridar tha
bahut roe hum shabnam-o-gul ko dekh
ki chaspan hamein bhi kahin pyar tha
mujhe ai dil-e-chaak kya shana sa
kisu zulf se kuchh sarokar tha
gaya 'mir' yan se karoge jo yaad
kahoge ki miskin ajab yar tha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0756
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.