chaman chaman se rang-o-bu ki aaj wo phuwar uThe

chaman chaman se rang-o-bu ki aaj wo phuwar uThe
Zubaida Begam Shama
MORE BYZubaida Begam Shama
chaman chaman se rang-o-bū kī aaj vo phuvār uThe
na.ī bahār aa.ī hai nazar nazar pukār uThe
ḳhizāñ ko bhī bahār meñ badal ke rakh deñ aaj ham
lahū chhiḌak deñ ḳhaak par chaman se jab ġhubār uThe
sukūt sāhiloñ kā jo machal machal ke toḌ de
dil-e-ḳhamosh-e-bahr se vo mauj-e-be-qarār uThe
ḳhushī se kyā ho us ghaḌī jo muskurā ke tum kaho
ḳhatā mu'āf ho ga.ī nigāh-e-sharmsār uThe
jale to zindagī ke rāste hī meñ ye dil jale
hamāre dil se 'sham'' bas sadā yahī pukār uThe
chaman chaman se rang-o-bu ki aaj wo phuwar uThe
nai bahaar aai hai nazar nazar pukar uThe
KHizan ko bhi bahaar mein badal ke rakh den aaj hum
lahu chhiDak den KHak par chaman se jab ghubar uThe
sukut sahilon ka jo machal machal ke toD de
dil-e-KHamosh-e-bahr se wo mauj-e-be-qarar uThe
KHushi se kya ho us ghaDi jo muskura ke tum kaho
KHata mu'af ho gai nigah-e-sharmsar uThe
jale to zindagi ke raste hi mein ye dil jale
hamare dil se 'sham bas sada yahi pukar uThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.