Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaman mein chehra-e-gul par kahan nikhaar ka rang

Chandra Parkash Jauhar Bijnauri

chaman mein chehra-e-gul par kahan nikhaar ka rang

Chandra Parkash Jauhar Bijnauri

MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri

    chaman meñ chehra-e-gul par kahāñ nikhār rang

    na jaane kaisā hai ab ke baras bahār rang

    vo iztirāb aalam vo intishār rang

    ḳhushā vo dil jise raas aa.e intizār rang

    chaman ko jis ne ḳhud apne lahū se sīñchā hai

    usī se pūchhiye ra.anā.ī-e-bahār rang

    har ek rang yahāñ jannat-e-nigāh sahī

    magar aziiz hai mujh ko ḳhayāl-e-yār rang

    hamāre dam se hai qaa.em chaman ra.anā.ī

    hamāre ḳhuun se miltā hai lāla-zār rang

    na pūchh kaise shab-e-intizār guzrī hai

    na dekh kyā hai mirī chashm-e-intizār rang

    hazār va.ada-e-mohkam ke bāvajūd ai dost

    miTā miTā hai phir tere e.atibār rang

    vafā ḳhuun kabhī rā.egāñ nahīñ jaatā

    hai surḳh aaj bhī 'jauhar' salīb-o-dār rang

    chaman mein chehra-e-gul par kahan nikhaar ka rang

    na jaane kaisa hai ab ke baras bahaar ka rang

    wo iztirab ka aalam wo intishaar ka rang

    KHusha wo dil jise ras aae intizar ka rang

    chaman ko jis ne KHud apne lahu se sincha hai

    usi se puchhiye ranai-e-bahaar ka rang

    har ek rang yahan jannat-e-nigah sahi

    magar aziz hai mujh ko KHayal-e-yar ka rang

    hamare dam se hai qaem chaman ki ranai

    hamare KHun se milta hai lala-zar ka rang

    na puchh kaise shab-e-intizar guzri hai

    na dekh kya hai meri chashm-e-intizar ka rang

    hazar wada-e-mohkam ke bawajud ai dost

    miTa miTa sa hai phir tere eatibar ka rang

    wafa ka KHun kabhi raegan nahin jata

    hai surKH aaj bhi 'jauhar' salib-o-dar ka rang

    Source:

    Auraq-e-Gul (Pg. 138)

    • Author: Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
      • Publisher: Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now