Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaman mein gul ne kahin dawa-e-jamal kiya

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

chaman mein gul ne kahin dawa-e-jamal kiya

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    chaman meñ gul ne kahīñ da.ava-e-jamāl kiyā

    jamāl-e-yār ne muñh us ḳhuub laal kiyā

    bahār-e-rafta phirī ab tire tamāshe ko

    chaman ko yumn qadam ne tire nihāl kiyā

    rahī thī dam kashākash gale pe kuchh baaqī

    vo teġh-e-yār ne jhagḌā hai infisāl kiyā

    chaman mein gul ne kahin dawa-e-jamal kiya

    jamal-e-yar ne munh us ka KHub lal kiya

    bahaar-e-rafta phiri ab tere tamashe ko

    chaman ko yumn qadam ne tere nihaal kiya

    rahi thi dam ki kashakash gale pe kuchh baqi

    wo tegh-e-yar ne jhagDa hai infisal kiya

    Source:

    Deewan-e-Naseem (Pg. 7)

    • Author: Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
      • Publisher: Matba Gulshan-e-Faiz, Lucknow
      • Year of Publication: 1895
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now