Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaman mein koi kali jab bhi muskuraati hai

Kamal Lakhnavi

chaman mein koi kali jab bhi muskuraati hai

Kamal Lakhnavi

MORE BYKamal Lakhnavi

    chaman meñ koī kalī jab bhī muskurātī hai

    mujhe kisī ke tabassum yaad aatī hai

    hamārī tīra-shabī is sahar se kyā māñge

    jo dūsroñ se ujāloñ bhiik paatī hai

    chaman meñ dekh ke phūloñ chāk-dāmānī

    bahār apne lahū meñ nahā.e jaatī hai

    gavāh haiñ ye shab-e-ġham ke Dūbte taare

    kisī yaad meñ mushkil se niiñd aatī hai

    isī bahār par itrā rahe haiñ ahl-e-chaman

    na.e na.e jo gulistāñ meñ gul khilātī hai

    ham aisī naav ke haiñ nāḳhudā muqaddar se

    bhañvar se bach ke jo sāhil pe Duub jaatī hai

    fareb dene gulistāñ ke zimma-dāroñ ko

    libās-e-vaqt badal ke bahār aatī hai

    sahar ko hogī ye mahfil na daur-e-jām-o-subū

    'kamāl' hosh meñ aao ki raat jaatī hai

    chaman mein koi kali jab bhi muskuraati hai

    mujhe kisi ke tabassum ki yaad aati hai

    hamari tira-shabi is sahar se kya mange

    jo dusron se ujalon ki bhik pati hai

    chaman mein dekh ke phulon ki chaak-damani

    bahaar apne lahu mein nahae jati hai

    gawah hain ye shab-e-gham ke Dubte tare

    kisi ki yaad mein mushkil se nind aati hai

    isi bahaar par itra rahe hain ahl-e-chaman

    nae nae jo gulistan mein gul khilati hai

    hum aisi naw ke hain naKHuda muqaddar se

    bhanwar se bach ke jo sahil pe Dub jati hai

    fareb dene gulistan ke zimma-daron ko

    libas-e-waqt badal ke bahaar aati hai

    sahar ko hogi ye mahfil na daur-e-jam-o-subu

    'kamal' hosh mein aao ki raat jati hai

    Source:

    Lahja-e-Ghazal (Pg. 99)

    • Author: Kamal Lakhnavi
      • Publisher: Kamal Lakhnavi
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now