Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaman mein rah ke gulon par jab iKHtiyar na ho

Mauj Rampuri

chaman mein rah ke gulon par jab iKHtiyar na ho

Mauj Rampuri

MORE BYMauj Rampuri

    chaman meñ rah ke guloñ par jab iḳhtiyār na ho

    to vo chaman kabhī sharminda-e-bahār na ho

    koī jahān meñ azmat bahār na kare

    agar hamārā garebāñ taar taar na ho

    ye bhed khul nahīñ saktā hai ahl-e-zāhir par

    koī junūn-e-mohabbat rāzdār na ho

    abhī to aisī hazāroñ shabeñ guzarnī haiñ

    asīr-e-shām-e-alam itnā be-qarār na ho

    vahī ki jis qayādat kareñ ġhalat rahbar

    vo kārvāñ kabhī manzil se ham-kanār na ho

    mirā jahān-e-tamannā ujāḌne vaale

    tabāhiyoñ pe mirī dekh sharmsār na ho

    vafā-shi.ār vafā na kar kabhī iz.hār

    agar vafā zamāne ko e'tibār na ho

    na luuñ panāh junūñ to kyā karūñ hamdam

    kisī tarah bhī mire dil ko jab qarār na ho

    galī meñ rahne do izn-e-mustaqil mujh ko

    sukūñ vo chaah rahā huuñ jo musta.ār na ho

    phir aane vaale havādis se kaun khelegā

    safīna dāman-e-sāhil se ham-kanār na ho

    yahī bahār agar hai to 'mauj' mumkin hai

    junūñ ke haath ko dāman pe iḳhtiyār na ho

    chaman mein rah ke gulon par jab iKHtiyar na ho

    to wo chaman kabhi sharminda-e-bahaar na ho

    koi jahan mein azmat bahaar ki na kare

    agar hamara gareban hi tar tar na ho

    ye bhed khul nahin sakta hai ahl-e-zahir par

    koi junun-e-mohabbat ka raazdar na ho

    abhi to aisi hazaron shaben guzarni hain

    asir-e-sham-e-alam itna be-qarar na ho

    wahi ki jis ki qayaadat karen ghalat rahbar

    wo karwan kabhi manzil se ham-kanar na ho

    mera jahan-e-tamanna ujaDne wale

    tabahiyon pe meri dekh sharmsar na ho

    wafa-shiar wafa ka na kar kabhi izhaar

    agar wafa ka zamane ko e'tibar na ho

    na lun panah junun ki to kya karun hamdam

    kisi tarah bhi mere dil ko jab qarar na ho

    gali mein rahne ka do izn-e-mustaqil mujh ko

    sukun wo chah raha hun jo mustaar na ho

    phir aane wale hawadis se kaun khelega

    safina daman-e-sahil se ham-kanar na ho

    yahi bahaar agar hai to 'mauj' mumkin hai

    junun ke hath ko daman pe iKHtiyar na ho

    Source:

    Ashk-o-Tabassum (Pg. 24)

    • Author: Mauj Rampuri
      • Publisher: Jayyad Press, Delhi
      • Year of Publication: 1962
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now