chaman walo chaman ki dastan kuchh aur kahti hai
chaman vaalo chaman kī dāstāñ kuchh aur kahtī hai
jo sach pūchho nigāh-e-bāġhbāñ kuchh aur kahtī hai
ye maanā fasl-e-gul hai auj par rang-e-bahārāñ hai
magar mujh se fazā-e-gulsitāñ kuchh aur kahtī hai
nahīñ mā'lūm kyā anjām ho yā-rab gulistāñ kā
manāzir dekh kar dil kī zabāñ kuchh aur kahtī hai
shifā ho jaa.e mumkin hai marīz-e-'ishq ko yaaro
magar hālat nasīb-e-dushmanāñ kuchh aur kahtī hai
vo kahte haiñ kareñge dard kā darmāñ magar 'ġhaibī'
ba-andāz-e-digar un kī zabāñ kuchh aur kahtī hai
chaman walo chaman ki dastan kuchh aur kahti hai
jo sach puchho nigah-e-baghban kuchh aur kahti hai
ye mana fasl-e-gul hai auj par rang-e-bahaaran hai
magar mujh se faza-e-gulsitan kuchh aur kahti hai
nahin ma'lum kya anjam ho ya-rab gulistan ka
manazir dekh kar dil ki zaban kuchh aur kahti hai
shifa ho jae mumkin hai mariz-e-'ishq ko yaro
magar haalat nasib-e-dushmanan kuchh aur kahti hai
wo kahte hain karenge dard ka darman magar 'ghaibi'
ba-andaz-e-digar un ki zaban kuchh aur kahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.