chamkega shajar par na mere ghar mein rahega
chamkegā shajar par na mire ghar meñ rahegā
vo chāñd hai aur chāñd samundar meñ rahegā
ab saañp ke mānand mire pīchhe paḌā hai
shab ko yahī saaya mire paikar meñ rahegā
ḳhvāhish ko ḳhudā rizq baham kartā hai dil meñ
lagtā hai ye kiiḌā isī patthar meñ rahegā
aa.e haiñ to sustā ke chale jā.eñge panchhī
vo peḌ isī tarh isī ghar meñ rahegā
taare bhī to mehvar se nikal jaate haiñ pyāre
āḳhir koī kab tak tire chakkar meñ rahegā
chamkega shajar par na mere ghar mein rahega
wo chand hai aur chand samundar mein rahega
ab sanp ke manand mere pichhe paDa hai
shab ko yahi saya mere paikar mein rahega
KHwahish ko KHuda rizq baham karta hai dil mein
lagta hai ye kiDa isi patthar mein rahega
aae hain to susta ke chale jaenge panchhi
wo peD isi tarh isi ghar mein rahega
tare bhi to mehwar se nikal jate hain pyare
aaKHir koi kab tak tere chakkar mein rahega
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 84)
- Author :Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.