Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand lamhat mein sadiyon ka maza le aaya

Dinesh Kumar Drouna

chand lamhat mein sadiyon ka maza le aaya

Dinesh Kumar Drouna

MORE BYDinesh Kumar Drouna

    chand lamhāt meñ sadiyoñ maza le aayā

    kahūñ baiThe-biThā.e balā le aayā

    ḳhud ko uljhā ke zamāne ke masā.il meñ idhar

    maiñ tirī yaad se apne ko bachā le aayā

    aag se aag to lohe se kaTegā lohā

    lo nayā zaḳhm purāne davā le aayā

    ek taqsīr ki maiñ jis muāfī ke liye

    har dafa ek na.ī aur sazā le aayā

    surḳh āñkheñ liye vo apnī udhar lauT gayā

    maiñ idhar apnā ruvāñsā galā le aayā

    tujh ko kar bhī nadāmat meñ mare jaatā huuñ

    ki kisī aur ke hisse vafā le aayā

    chand lamhat mein sadiyon ka maza le aaya

    ya kahun baiThe-biThae hi bala le aaya

    KHud ko uljha ke zamane ke masail mein idhar

    main teri yaad se apne ko bacha le aaya

    aag se aag to lohe se kaTega loha

    lo naya zaKHm purane ki dawa le aaya

    ek taqsir ki main jis ki muafi ke liye

    har dafa ek nai aur saza le aaya

    surKH aankhen liye wo apni udhar lauT gaya

    main idhar apna ruwansa sa gala le aaya

    tujh ko pa kar bhi nadamat mein mare jata hun

    ki kisi aur ke hisse ki wafa le aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now