charagh-e-dahr yun jalta nahin hota
charāġh-e-dahr yuuñ jaltā nahīñ hotā
havā kā ruḳh agar badlā nahīñ hotā
rukūñ to phir koī manzil nahīñ dikhtī
chalūñ to phir koī rastā nahīñ hotā
parī-zādī hameñ bhī dikhtī ye duniyā
agar ham ne tumheñ dekhā nahīñ hotā
asīr-e-'ishq huuñ shahr-e-mohabbat meñ
jo tanhā.ī meñ bhī tanhā nahīñ hotā
ye paude dhuup meñ sañvlā ga.e hote
agar in ke liye gamlā nahīñ hotā
jo bantī joḌiyāñ gar āsmānoñ meñ
kisī ke saath phir dhoka nahīñ hotā
mire hone se āḳhir kyā huā hai 'rāj'
na hotā maiñ agar to kyā nahīñ hotā
charagh-e-dahr yun jalta nahin hota
hawa ka ruKH agar badla nahin hota
rukun to phir koi manzil nahin dikhti
chalun to phir koi rasta nahin hota
pari-zadi hamein bhi dikhti ye duniya
agar hum ne tumhein dekha nahin hota
asir-e-'ishq hun shahr-e-mohabbat mein
jo tanhai mein bhi tanha nahin hota
ye paude dhup mein sanwla gae hote
agar in ke liye gamla nahin hota
jo banti joDiyan gar aasmanon mein
kisi ke sath phir dhoka nahin hota
mere hone se aaKHir kya hua hai 'raj'
na hota main agar to kya nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.