Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh-e-dil jalaya kis liye hai sham se pahle

Paikar Jafari

charagh-e-dil jalaya kis liye hai sham se pahle

Paikar Jafari

MORE BYPaikar Jafari

    charāġh-e-dil jalāyā kis liye hai shaam se pahle

    ḳhushī achchhī nahīñ hai ishq meñ anjām se pahle

    guzarnā to shab-e-furqat yā-rab ġhair-mumkin hai

    taḌapnā dil kahtā hai numūd-e-shām se pahle

    hudūd-e-mahfil-e-ishrat meñ rakkheñge qadam ik din

    zarā mānūs to ho leñ ġham-e-ālām se pahle

    mujhe saaqī se ulfat hai nahīñ sāġhar shaidā.ī

    uThā jaatā huuñ ḳhud mahfil se daur-e-jām se pahle

    Dhalā din aur mire dil baḌhīñ bechainiyāñ 'paikar'

    jigar ko thaam letā huuñ maiñ dard-e-shām se pahle

    charagh-e-dil jalaya kis liye hai sham se pahle

    KHushi achchhi nahin hai ishq mein anjam se pahle

    guzarna to shab-e-furqat ka ya-rab ghair-mumkin hai

    taDapna dil ka kahta hai numud-e-sham se pahle

    hudud-e-mahfil-e-ishrat mein rakkhenge qadam ek din

    zara manus to ho len gham-e-alam se pahle

    mujhe saqi se ulfat hai nahin saghar ka shaidai

    uTha jata hun KHud mahfil se daur-e-jam se pahle

    Dhala din aur mere dil ki baDhin bechainiyan 'paikar'

    jigar ko tham leta hun main dard-e-sham se pahle

    Source:

    Lazzat-e-Ehsas (Pg. 36)

    • Author: Paikar Jafari
      • Publisher: Paikar Jafari
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now