Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh-e-ishq jala lun to koi baat karun

Reshma Zaidi

charagh-e-ishq jala lun to koi baat karun

Reshma Zaidi

MORE BYReshma Zaidi

    charāġh-e-ishq jalā luuñ to koī baat karūñ

    añdhere dil ke miTā luuñ to koī baat karūñ

    luTā duuñ raah meñ us maiñ apnī sab pūñjī

    zarā nekī kamā luuñ to koī baat karūñ

    ġhubār-e-vaqt meñ uljhī hai merī rāhguzar

    safar laaj bachā luuñ to koī baat karūñ

    bahut udaas hai raat aur rū-ba-rū hai firāq

    navā-e-'mīr' sunā luuñ to koī baat karūñ

    mujhe bhī dasht āvārgī se rabt hai kuchh

    ye ḳhāk-e-dasht uḌā luuñ to koī baat karūñ

    palaT ke aa.e ho muddat ke baa'd āñkhoñ meñ

    ye ashk-e-hijr girā luuñ to koī baat karūñ

    sahārā donoñ jahāñ meñ amal hai 'resham'

    ye baat sab ko batā luuñ to koī baat karūñ

    charagh-e-ishq jala lun to koi baat karun

    andhere dil ke miTa lun to koi baat karun

    luTa dun rah mein us ki main apni sab punji

    zara si neki kama lun to koi baat karun

    ghubar-e-waqt mein uljhi hai meri rahguzar

    safar ki laj bacha lun to koi baat karun

    bahut udas hai raat aur ru-ba-ru hai firaq

    nawa-e-'mir' suna lun to koi baat karun

    mujhe bhi dasht ki aawargi se rabt hai kuchh

    ye KHak-e-dasht uDa lun to koi baat karun

    palaT ke aae ho muddat ke ba'd aankhon mein

    ye ashk-e-hijr gira lun to koi baat karun

    sahaara donon jahan mein amal ka hai 'resham'

    ye baat sab ko bata lun to koi baat karun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now